aun o mohamed to gaye maare ghar may diya maa kaise jalaye
gham ki hai shiddat aahe bhare wo sar ko wo peete khaak udhaaye aun o mohamed...
hai wohi galiyan ghar bhi wohi hai hujro may lekin khaak jami hai jab nahi mumkin beton ka aana kaise dua ko haath uthaye aun o mohamed...
bibi batayein jo bhi pata hai beton ka baba pooch raha hai kuch nahi kehti chup hai zuban par baithi hai zainab sar ko jhukaye aun o mohamed...
nana ki turbat par bhi hai jaana haal e sakina bhi hai sunana baaliyan uski khoon may doobi unko dikhaye ya na dikhaye aun o mohamed...
ahed nibha kar dil ko sukoon hai baat alag ye aankhon may khoon hai soch ke itna ghar se thi nikli bete gawaye bhai bachaye aun o mohamed...
zehn may kitni baat hai unki ja ba ja ghar may yaad hai unki sehn may kadmon ke jo nishan hai maa hai apni har nazr jamaye aun o mohamed...
dil ke sabr maa aaj dhuan hai siskiyan bas ab virde zuban hai aun o mohamed dashte bala may yaad hai isko khoon may nahaye aun o mohamed...
baad rehayi hashr siwa tha saamne wohi dashte bala tha laashe thay be-sar khoon may nahaye dono ke tan se sar thay milaye aun o mohamed...
abid o yasir uski ata hai noha likha hai noha padha hai ye bhi hai mumkin iske hi sadqe tumko wo bibi dar pe bulaaye aun o mohamed...
|
|