ro rahi hai soch kar ummul baneen ye aaj bhi asghar e baysheer jaisi qabr hai abbas ki
rashk karti thi mai aqse hyder e karrar par paon khat dete thay uske baith kar rahwaar par haye mere sher ki ye kaisi haalat ho gayi asghar e baysheer jaisi...
marke bhi usne nibhaya mujhse jo wada kiya apne bete ki wafa par faqr hai mujhko bada ab nahi asghar ki maa se kuch mujhe sharmindagi asghar e baysheer jaisi...
baap ke badle musalmano ne bete se liye sar juda hai tan juda baazu juda hai sher ke aap ki tasveer tukde hogayi hai ya ali asghar e baysheer jaisi...
kaun lad sakta tha us se kis may tha itna jigar sunti hoo nau laakh ne maara hai usko ghayr kar laash bhi uski salamat dasht may rehne na di asghar e baysheer jaisi...
kya qad o qaamat thi uski ye usay maloom tha ek ghatri may simat kar kaise qasim aagaya umme farwa jaanti hai kya hai meri bekasi asghar e baysheer jaisi...
kab samaata tha meri chadar may tu ay mere laal kardiya hai zaalimo ne ye tere laashe ka haal hai mere sar ki rida bhi teri turbat se badi asghar e baysheer jaisi...
kehke ya abbas karta hai wo ashkon se wuzoo darti hoo jaari na ho phir uski aankhon se lahoo saamne abid ke yun kehti nahi hoo mai kabhi asghar e baysheer jaisi...
roke karti hai salaam unko takallum karbala fatema zehra se maa bete ne ki aise wafa maadare abbas ki turbat bhi hai tooti hui asghar e baysheer jaisi...
|
|