ay ali asghar maqtal may baithi khaak par nauha-kuna hai maa asghar ho tum kahan
jhoola jala to jal gaye armaan bhi mere mai jee rahi thi ek hi hasrat liye huwe dulha tumhay banaungi jab hogay tum jawan asghar ho tum kahan
bikhre huwe ye chand sitare zameen pe hai zindan hi hai koi magar sab yahin pe hai ek teri laash hi nahi laashon ke darmiyan asghar ho tum kahan
do char din bhi zinda nahi reh sakungi mai kitna teri ghareebi pe matam karoongi mai ay laal mere haathon ki khulwade rassiyan asghar ho tum kahan
maqtal se khaafile ko guzaara gaya tha jab pyaron ko apne dete thay rokar sadayein sab ye kehte kehte bandh gayi bano ki hichkiya asghar ho tum kahan
majlis wahin pe mir takallum bapa hui maa turbate sagheer par kehti thi jis ghadi jaata hai suye shaam ab lutkar ye kaarwan asghar ho tum kahan
|
|