imam parda e ghaibat se de rahe hai sada ana ibne zahra nazar may rehti hai har waqt mere karbobala ana ibne zahra
mai pardaye ghaibat se sama dekh raha hoo sajjad ke qaimo ka dhuan dekh raha hoo
zainab chali jis aag may abid ko bachane us aag may pairon ke nishan dekh raha hoo mai pardaye ghaibat...
jis sar pe saja karti thi dastaar e mohamed us sar ko sar e nauke sina dekh raha hoo mai pardaye ghaibat...
bas teer hai chalne ab asghar ke galay par zaalim ki mai khamra kamaan dekh raha hoo mai pardaye ghaibat...
jis rukh ke liye karte thay bosay shahe wala us rukh pe tamachon ke nishan dekh raha hoo mai pardaye ghaibat...
maqtal may kahan saaniye zehra ki rida hai abbas ke baazu hai kahan dekh raha hoo mai pardaye ghaibat...
aaye na watan laut ke phir aun o mohamed ujda hua zainab ka makaan dekh raha hoo mai pardaye ghaibat...
maa baap behan bhai phuphi aur aizza ek teer may kitno ki mai jaan dekh raha hoo mai pardaye ghaibat...
gohar hai jahan dafn saqeefa ki shaheeda us qabr ko be-naam-o-nishan deekh raha hoo mai pardaye ghaibat...
|
|