aise aaye ali akbar sare maidan e wigha jaise badli se naya chand namudaar hua jaise tasveere mohammed se utha ho parda jiase hyder ki jawani ka chalan jalwa numa yak bayak salle ala nara e akbar goonja ana ali yabnul hussain yabna ali nahnu wa baitullah aula bin nabi zarbe ghulamin hashmi in alawi ana ali...
naam akbar ali akbar hai mera mai hussain ibne ali ka beta kha raha hoo qasm e baitullah hum ko haasil sharafe khoone nabi ana ali...
shamiyon ab mera hamla dekho zarbate sayyede wala dekho meri talwaar ka chalna dekho zarabate hashmi zarbe alawi ana ali...
kehke ye fauj may dooba wo shuja e azali naara zanja ke ana ibne hussain ibne ali teer chalne lage naize chale talwaar chali badke shamsheer e do dum se safe kuffaar jali kis tarha ladta hai hamshakle payambar dekho aaj shamsheer e hussaini ke bhi jauhar dekho ana ali...
palte miadaan se wigha karte huwe aake baba se ye akbar bole thoda pani mere baba jo mile dekhna phir se meri taygh zani ana ali...
bole sheh sookhi zaban dikhla kar moo may rakhlo ye anguthi akbar aisa sharbat tumhe denge hyder kisko pikar tumhe kehna hai yehi ana ali...
ran may jaakar wop bahot dayr lade chaar jaanib se udoo tooth pade naubate bajne lagi jab wo gire ek sada goonji aba adrikni ana ali...
sunke awaaz e pisar sheh daude khaayi thokar kabhi gir kar sambhle ghutniyo chalte huwe jab pahunche ali akbar ki ye awaaz suni ana ali...
kya kare ab tera baba jee kar khaak dunya hai tere baad akbar nauha jaari tha rehan o sarwar ran may roti thi sada e zakhmi ana ali...
|
|