ek do pahar may apna bhara ghar luta diya allah kya jigar tha janab e hussain ka
zakhmi badan firaaq e pisar tashnagi alam tanhaai fauj e shaam ka nargha naye sitam ansar o aqroba ka bichadne ka dil may gham qaime se aa rahi thi sadaye buka baham allah kya jigar tha...
jab aaye izn lene ko abbas e ba-wafa hasrat se unko dekh ke shabbir ne kaha jao sidharo bhai nigehban hai khuda hum jaante hai door nahi aap se khaza allah kya jigar tha...
jis waqt ishteghasa e abbas ko suna jaate thay ran may thokare khaate shahe huda naagah ek simt may baazu pada mila dil thaam kar hussain ne usko utha liya allah kya jigar tha...
bhai ke baad ran may gaya naujawan pisar barchi ne tukde kar diya uska dil o jigar pahunche khareeb laash ke aur baithe khaak par barchi jigar se khaynchi to haatif ne di khabar allah kya jigar tha...
ayub dekho sabr e shehenshah e karbala tanha jawan laal ka laasha utha liya haathon pe leke qaime ki jaanib jari chala dekha na hoga aisa kisi dil ka hosla allah kya jigar tha...
sab fauj qatl hogayi ab koi bhi nahi nargha kiye hai sham ke aada udoo e deen barsa rahe hai teero ko har simt se layeen haathon pe apne laate hai bano ka mehjabeen allah kya jigar tha...
maidan may sheerkhwar ko laaye juhin hussain khoya sipaah e sham ne apna sukoon o chain paika galay se lipta hua kar raha tha bain kis sabr se juda kiya wo shahe mashraqain allah kya jigar tha...
dafna ke sheerkhwar ke laashe ko shahe deen aaye khayam e zainab e kulsoom ke khareeb lipti sakina qadmo se dil sog tha hazeen baba na aap jaaiye kehti thi mehjabeen allah kya jigar tha...
lipta ke apni beti ko sarwar ne ye kaha sab hogaye anees o aizza mere juda hum jaye qatl gaah may hai ye marzi e khuda ran ko sidhaare kehte huwe shaah alwida allah kya jigar tha...
|
|