sarwar ki shahadat ka andaz nirala hai allah hi allah mola hi mola sogh manalo dunya walon allah hi allah mola hi mola
karbobala may sheron ka ek hi naara hai sarwar ki shahadat ka andaz nirala hai sogh manalo dunya walon, allah hi allah mola hi mola
sher gira abbas gira ran saara kaampa hai gumbat masjid e nabawi ka sog may girya hai sogh manalo dunya walon, allah hi allah mola hi mola
chirage hassan bhi kafan sar se baandhe chale karbala ko chale nishani hassan ki dulha ran may banke lade karbala may lade ibne hassan qasim paara paara hai dulhan ki taqdeer ka dooba taara hai sogh manalo dunya walon, allah hi allah mola hi mola
akbar ki jawani ka bas khatm fasana hai misle payambar akbar si khoon may dooba hai sogh manalo dunya walon, allah hi allah mola hi mola
sab se badi ibadat hi matam karna hai matam ke muqaalif se ab kya darna hai sogh manalo dunya walon, allah hi allah mola hi mola
mashke sakina ka ab to abbas sahara hai pyason ki har aas ka abbas sahara hai sogh manalo dunya walon, allah hi allah mola hi mola
|
|