|
ajeeb shor hai ke shor may sukoon hai ajab sukoon hai sukoon may junoon hai ye wo junoon hai jo deen deen ka sukoon hai ye kya ye kyun ye kaise hai ye sochna haram hai kisi bashar ki baat kab khuda ka khud kalaam hai fazkuruni az kurukum, vash kurooli wala takfurukun
quran may khud kehta hai khuda, wo mujhko kabhi jhutlaata nahi aur mera shaakir rehta hai jo mera zaakir hota hai, mai uska zaakir banta hoo allah allah kar rahe hai hussain, kar raha hai khuda hussain hussain ya hussain, ya hussain
khauf ahle sitam pe hai kaari, zikre shabbir ab bhi hai jaari jab khuda khud hai zaakir e sarwar, kaun rokega ye azadari ishq ka tarnuma hussain hussain, kar raha hai khuda hussain hussain ya hussain.... allah allah kar rahe..
kehdiya aaya e mawaddat ne, humse maanga hai kya risaalat ne ab bhi akhlon pe hai paray parde, raaze quran na samjha ummat ne ibne zehra hai ya hussain hussain, kar raha hai khuda hussain hussain ya hussain.... allah allah kar rahe...
uski baatil namaz hojaye, shak jo zaate hussain may laaye jo namaze khuda ko thukraye, tab wo matam kiye kaha jae ay shahure waqa hussain hussain, kar raha hai khuda hussain hussain ya hussain.... allah allah kar rahe....
kaise qaidi thay karbala walay, sheh ke maqsad ko saath leke chalay kab wo ghaafil rahe hai sajdo se, qaid may bhi namaz padhte rahe aur jaari raha hussain hussain, kar raha hai khuda hussain hussain ya hussain.... allah allah kar rahe...
jab madine may aaye ahle haram, rozo shab tha hussain ka matam ab bhi tareekh de rahi hai sada, ghar may sajjad ke khuda ki qasam eid ke din hua hussain hussain, ya husain ya husain.....
sada ye ghaib se aati hai ibne zahra ki ye kaisi bahes may uljhi hui hai qaum meri namaz ka koi munkir hai majliso ka koi takallum aur hai darvesh ki tamanna yehi khudara jism ko tum jaan se juda na karo namaz aur aza ka tum muqabla na karo
|
|