haye ali, haye ali zehra se poocho kya hai aliyun waliullah iske liye batool ka do baar ghar jala baghdad, sham o kufa, khurasan o karbala ummat ne fatema ko kahan dukh nahi diya sab kuch lutaya deen ki hifazat ke waaste zehra ujad gayi hai wilayat ke waaste
darbar may bachane gayi fathema zehra aliyun waliullah, aliyun waliullah
sunta na tha madine may zehra ki koi baat lekar hassan hussain ko har subho apne saath ghar ghar pe yaad jaake ke dillati thi sayyeda aliyun waliullah, aliyun waliullah
gham may abu turaab ke ghut ghut ke mar gayi dar parda fatema ki wasiyat yehi to thi aaye na wo janeze par jisne nahi padha aliyun waliullah, aliyun waliullah
tooti hui thi phasliyan dam tha ruka hua tha sayyeda pe jalta hua dar gira hua phir bhi lab e batool pe jari thi ye sada aliyun waliullah, aliyun waliullah
zainab pukari ay mere mazloom be watan wada tumhari laash pe karti hai ye behan ek din zaroor sham ki galiyon may goonjega aliyun waliullah, aliyun waliullah
aaye najaf se shaam e ghariban may jab ali zainab ye kehke apne padar se lipat gayi khanjar talay bhi bhai ke zakhmi labon pe tha aliyun waliullah, aliyun waliullah
boli sakina aaya jo zindan may sheh ka sar kaise bataun shaam ka kaise kiya safar gir gir ke khoon kano se deta raha sada aliyun waliullah, aliyun waliullah
zindan may ek qabr banane ke waaste hamsheer ka janaza uthaane ke waaste nade ali ki shakl may sajjad ne padha aliyun waliullah, aliyun waliullah
na mehramo ki nheed thi darbar e sham may zainab ne deke khutba zabane imam may be waqt ki azan may dabne nahi diya aliyun waliullah, aliyun waliullah
maa ki lehad pe bain takallum thay beti ke pehlu pe zakhm khaake bachaya tha aap ne maine rida luta ke bacha hai ba khuda aliyun waliullah, aliyun waliullah
|
|