abbas e alamdar wafaon ka khuda hai hyder ki tamanna hai to zehra ki dua hai islam ki sheh-rag may hai khoon e dile shabbir saanson may rawan parcham e ghazi ki hawa hai
alamdare lashkare hussain
naam abbas hai zehra ki tamanna mai hoo sher e khaaliq ki duaon ka nateeja mai hoo hashmi khoon ki jurrat ka asasa mai hoo pyas pani ki bujhe jisse wo darya mai hoo mai hoo ghairat ka khuda mai hoo zehra ki dua mai alamdar e wafa mai hoo zainab ki rida saaniye shere khuda hoo mai alamdar hoo mai alamdare lashkare...
fatema zehra ki dukhtar ne mujhe maanga hai sayyeda binte payambar ne mujhe maanga hai karbala ke liye sarwar ne mujhe maanga hai rab se har sajde may hyder ne mujhe maanga hai mai hoo khaliq ki ata mai ali ki hoo dua mai alamdar e wafa mai sakina ka chacha apni taqleeq may allah ka shah-kaar hoo mai alamdare lashkare...
apne khadmo may zamane ko jhuka sakta hoo karbala may tumhe khyber mai dikha sakta hoo apne naize ko mai talwaar bana sakta hoo sab ko ek waar may dunya se mita sakta hoo mai bhi hoo sher e khuda hashr kardoonga bapa mai alamdar e wafa maut ki dar se ghata tum pukaroge khud hydere karaar hoo mai alamdare lashkare...
kisme jurrat hai ke roke mera rasta koi aaj tak saamne mere nahi tehra koi hoga fin-naar agar saamne aaya koi aa nahi sakta khareeb e shahe waala koi mai bhi hoo sher e khuda quwwate shahe huda mai alamdar e wafa sab ko kardoonga fanaah kufr ki raah may ek aahni dewaar hoo mai alamdare lashkare...
mai mita sakta hoo ek lamhe may tum sab ka nishan hashmi khoon hai kya tum pe ye kardoonga ayan hukm doo mai to abhi nehr khud aajaye yahan izn shabbir agar de to ulat jaaye jahan mai hoo marziye khuda la fata ki hoo dua mai alamdar e wafa mere khadmon may jahan apne maula ki razaon ka talabgaar hoo mai alamdare lashkare...
ay sakina tera gham zainab e dilgeer ka gham maa ka gham behno ka gham asghare baysheer ka gham chadar e zehra ka gham chadar e tatheer ka gham khoon rulaata hai mujhe hazrate shabbir ka gham al atash ki ye sada mashq ka qalb chida mai alamdar e wafa aankh may teer e jafa hai ye zanjeer e alam jisme giraftaar hoo mai alamdare lashkare...
haye sakina ye tera rona rulaata hai mujhe pyas may tera tadapna ye satata hai mujhe jung karne se mere maula ne roka hai mujhe hukme shabbir ki zanjeer ne baandha hai mujhe mai bhi dikhlaata vigha karta dushman ko fanaa mai alamdar e wafa tujhpe hoti na jafa ay sakina bada majboor hoo lachaar hoo mai alamdare lashkare...
hai yehi noor ali hazrate ghazi ki sada shah ke gham may bichate hai jo farshe aza noha o majlis o matam may jo rehte hai sada dil may abaad jo rakhte hai ghame karbobala qalbe wo gham ki ziya baabe haajat ho ata mai alamdar e wafa mai bhi hoo unka kusha aise sab logon ka har gaam may madadgaar hoo mai alamdare lashkare...
|
|