jab sham e ghariban may yaad e padar aayi ghabrake sakina sar e maqtal chali aayi daaman tha jala aur labon par tha ye noha
ay baba hussaina aina aina ay baba hussaina roti hai sakina pyasi hai sakina aina aina ay baba hussaina
hai aap jahan baba mujhko bhi bula-lije ek baar mujhe apne seene pe sula-lije bin aap ke dunya may bekaar hai ye jeena aina aina ay baba hussaina... roti hai sakina pyasi hai...
hai kaan mere zakhmi aur khoon bhi hai jaari qaimon ki rida'on ki karti hoo azadari kuch dayr sukoon paa'on mil jao aagar baba aina aina ay baba hussaina... roti hai sakina pyasi hai...
kis samt tumhein dhoondoo maqtal may bhatakti hoo baba ki samajh kar mai har laash pe girti hoo imdaad karo meri batlao mujhe rasta aina aina ay baba hussaina... roti hai sakina pyasi hai...
kuch dayr lipat kar mai bas aap ke laashe se wo dard suna'ungi baad aap ke jo paaye har baat bataun mai mil jaye agar laasha aina aina ay baba hussaina... roti hai sakina pyasi hai...
is dasht may roti hoo sab chahne waalon ko har samt andhera hai tarsi hoo ujaalon ko baad aap ke ay baba tareek hai ye dunya aina aina ay baba hussaina... roti hai sakina pyasi hai...
shabbir ke nauhe se phir goonj utha sehra ho tere masayab par qurban tera baba ek teer laga dil par sunkar ye tera girya aina aina ay baba hussaina... roti hai sakina pyasi hai...
irfan bhi rota hai is baat pe mazhar bhi roti thi sakina bhi aur laashaye sarwar bhi awaaz e padar sunkar us samt chali dukhiya aina aina ay baba hussaina... roti hai sakina pyasi hai...
|
|