abbas teri behno ko bazaar may laaya jaata hai
suraj ne khule sar jisko ghar may bhi kabhi na dekha afsos wohi shehzadi balwe may gayi wavaila zainab ki yahan aamad par darbar sajaya jaata hai abbas teri behno...
kis shan se teri zainab mehmil may chali thi ghar se aur aaj safar par nikli to raah may pathar barse be-parda nabi zadiyon ko galiyon may phiraya jaata hai abbas teri behno...
kya tujhse kahoon ay ghazi dekhein hai yahan gham kaise rahon may sakina teri pani ke liye gar roye bachi ko dikha kar pani reti par bahaya jaata hai abbas teri behno...
be-dard hai be-ghairat hai ye sham ke rehne waale aankhon par pade hai parde aur inke zaban par taale ye chup hai nabi zaadi ko balwe may bulaaya jaata hai abbas teri behno...
ek lamha nahi hai aisa eeza na koi pahunchaye thak kar wo kahin gar baithe sajjad ko neendh aa jaye haye haye zanjeer hilakar qaidi ko jagaya jaata hai abbas teri behno...
dohraya gaya maazi ko hai zulm wohi aur gham bhi ummat bhi wohi chehre bhi darbar wohi aur hum bhi kal amma jahan aayi thi ab mujhko bulaaya jaata hai abbas teri behno...
raahon may kisi manzil par deta jo hamay koi chadar le jaate hai phir wo chadar haakim ke sipahi aakar ek gham may teri zainab kayi baar rulaaya jaata hai abbas teri behno...
barsat kabhi durro ki hoti hai kahin sang baari ay bhai bata kyun na ho jeene se mujhe be-zaari sa'daat ko in raahon may har gaam sataya jaata hai abbas teri behno...
ye farshe aza ye matam zainab ka karz hai hum par dunya se kahe phir kyun na farhan aur mazhar ro kar jo aale nabi par guri nauho may sunaya jaata hai abbas teri behno...
|
|