abbas tere baad qayamat si bapa hai
qaimo may ghareebon ke faqat ye hi sada abbas tere baad qayamat si bapa hai
pani na piya tashna rahe pani tha maujood zinda tere kirdar hi se naame wafa hai qaimo may ghareebon... abbas tere baad...
kya haal hua hoga mere ghazi ka us dam jis dam ke bhare pani ka mashkeeza chida hai qaimo may ghareebon... abbas tere baad...
bachon se yehi kehti rahi bali sakina pani mera abbas chacha lene gaya hai qaimo may ghareebon... abbas tere baad...
abbas e dilawar bhi suye khuld sidhaare ahle haram e shah may kohraam bapa hai qaimo may ghareebon... abbas tere baad...
hasrat hai ye shabbir ki ab bhai bhi kehdo abbas ne ab tak to bas aaqa hi kaha hai qaimo may ghareebon... abbas tere baad...
darya pe gaye laut ke wapas nahi aaye baba mere ammu ko batayein jo huwa hai qaimo may ghareebon... abbas tere baad...
abbas karayenge usay apni ziyarat azhar ne is umeed pe ye noha kaha hai qaimo may ghareebon... abbas tere baad...
|
|