abbas ka parcham mujhe jis ja nazar aaya mashkeeza wahin dukhtare sheh ka nazar aaya
hathon se jigar saaqiye kausar ne sambhala jab tashna dahan unka khabeela nazar aaya abbas ka parcham...
dunya may usay milgayi jannat ki basharat gham may jo shahe deen ke rota nazar aaya abbas ka parcham...
sairaab kiya saaqiye kausar ke pisar ne jab lashkare hurr dasht may pyasa nazar aaya abbas ka parcham...
hota hai jahan matame farzande payambar ghazi ka alam bhi wahin uncha nazar aaya abbas ka parcham...
kya guzri na jaane dil e maadar pe elaahi jab khoon may tar bete ka laasha nazar aaya abbas ka parcham...
nazron may wohi phir gayi tasveere sakina ghazi ko jo behta hua darya nazar aaya abbas ka parcham...
islam ki tareekh may chauda sau sadi se khanjar ke talay ek hi sajda nazar aaya abbas ka parcham...
gardan pe laga teer magar daste pidar par hasta hua shabbir ka pyara nazar aaya abbas ka parcham...
kehte hai khaleel aaj mili khaab ki tabeer sehra may jo shabbir ka laasha nazar aaya abbas ka parcham...
aankhon se meri ashk chalakne lage mazhar jab jab bhi mujhe pani ka kooza nazar aaya abbas ka parcham...
|
|