mehfooz khaafila hai abbas jo zinda hai abhi door karbala hai abbas jo zinda hai
is noori karwan may noori amariyan hai noori amariyon may noori sawariyan hai sar par alam khula hai abbas jo zinda hai abhi door karbala hai...
na-mehramon ka majma hat hat ke hai guzarta pehre may ba-wafa ke tay ho raha hai raasta kya shan o dabdaba hai abbas jo zinda hai abhi door karbala hai...
abbas jaisa bhai saalaar e karwan hai bolay hussain mujhko phir koi gham kahan hai har gham ki ye dawa hai abbas jo zinda hai abhi door karbala hai...
zainab haya ki malka kulsoom aur ruqayya laila rabab farwa kubra sakina fizza har bibi ba rida hai abbas jo zinda hai abhi door karbala hai...
asghar se khaylti hai khush hai bohat sakina jab chaahti hai sona hai baba jaan ka seena gham se na aashna hai abbas jo zinda hai abhi door karbala hai...
|
|