ahle haram ke paasban abbas ay shere jawan abbas ay...
kehta tha zehra ka pisar thaame huwe tooti kamar bhai mere tum sogaye ab kaun le meri khabar dekho meri tanhaiyan abbas ay shere jawan abbas ay...
tum thay alamdare jari lashkar ki tumse shaan thi waakif thay tum is baat se tumse hai meri zindagi koi nahi mera yahan abbas ay shere jawan abbas ay...
shane tumhare kat gaye ghoday se tum kaise giray sar par laga gurze sitam tum kis khadar zakhmi huwe saare badan se khoon rawan abbas ay shere jawan abbas ay...
har gaam par thay humsafar har lamha thay seena sipar ay tashnalab bhai mere chora mujhe kis mod par har simt hai veeraniyan abbas ay shere jawan abbas ay...
jis simt jaati hai nazar khanjar hai aur teer o tabar abbas kuch hi dayr may kat jayega mera bhi sar ab hai hamara imtehan abbas ay shere jawan abbas ay...
tumse tha har dil ko bharam thay mutmain ahle haram ek tum juda kya hogaye sojayegi fauje sitam jaagengi saari bibiyan abbas ay shere jawan abbas ay...
ye hai sakina ki fughan aajao ammu ho kahan kaise usay samjhaun mai usay karoo kya ka bayan mar jayegi wo neem jaan abbas ay shere jawan abbas ay...
mashke sakina chid gayi hasrat thi tujhko jang ki koi bhi teri aarzoo bhai na poori ho saki bechain teri hichkiyan abbas ay shere jawan abbas ay...
ay mere bhai ba-wafa allah ne tay kar liya tere waseele se agar jo bhi kare dil se dua bhar dega unki jholiyan abbas ay shere jawan abbas ay...
sheh ne kaha mere jari dil ki tadap hai ab yehi maula kaha aaqa kaha ek baar kehdo bas aqi dekho meri bechainyan abbas ay shere jawan abbas ay...
abbas ne bhai kaha bhai se bhai chut gaya matam rasheed ab hota hai pyase jari abbas ka giryan kuna hai bibiyan abbas ay shere jawan abbas ay...
|
|