baazu e shahe karbobala hazrate abbas saqqa e haram sher e wigha hazrate abbas abbas abbas haye abbas haye abbas
shabbir ki ita'at thi faqat unki shariyat mashoor zamane may hai maula ki shuja'at paayi asadullah ki kul tumne virasat baatil ke liye misle qaza hazrate abbas abbas abbas...
gar hukm mile karde abhi shaam ko tashkeer abbas ke kabze may ali ki jo hai shamsheer bas muntazir hai izn jo de hazrate shabbir de wada khilaafi ki saza hazrate abbas abbas abbas...
shabbir ke lashkar ke alamdar hai abbas kehta hai alam hyder e karrar hai abbas baatil ke liye aahini dewaar hai abbas islam ke parcham ki baqa hazrate abbas abbas abbas...
farmate thay shabbir ho tum zeenate lashkar qayam hai tere dam se meri shaukat e lashkar ek aah ki farmaya ke ye qismate lashkar hai kaun jo lashkar may ruka hazrate abbas abbas abbas...
paate hi riza maula se lene chale pani darya ko chala tab asadullah ka jaani thay nehr pe qabza kiye wo zulm ke baani kab daud padi fauje jafa hazrate abbas abbas abbas...
ashoor ko jab maara gaya shah ka lashkar aur pyas se bache nazar aane lage muztar dekha na gaya ghazi se wo karb ka manzar sarwar se chale leene riza hazrate abbas abbas abbas...
mashkeeze may tab pani ko bharne lage maula ghode se kaha tu hai kayi roz se pyasa rehwaar ye bola ke nahi mujhko ye zeba phir aab ko chullu may liya hazrate abbas abbas abbas...
mashkeeza liye qaime ke jaanib chale hazrat teer aate thay padne lagi talwaro ki zarbat mashkeeze pe jab teer laga ghut gayi taaqat shabbir ko dete thay sada hazrate abbas abbas abbas...
ya rab na kisi bhai ko manzar ye dikhaye jis tarha kamar pakde wahan shah thay aaye abbas se farmate thay mai kya karoo haye kyun hote ho tum hum se juda hazrate abbas abbas abbas...
qaime may hussain aaye liye ghazi ka parcham qaimo may haram ke tha bapa ghazi ka matam thay bain sakina ke labon par yehi payham kyun sogaye darya pe chacha hazrate abbas abbas abbas...
ye bain thay zainab ke suno mere dilawar tanha hai hussain aur udhar laakhon ka lashkar ba-daz shahe deen hoyega barpa yahan mehshar cheenenge layeen meri rida hazrate abbas abbas abbas...
aijaz qalam rok lo mehshar ka sama hai ghazi ke alam may ye buka shor o fughan hai aaqif yahan matam may har ek peer o jawan hai hai sab ke labon ki ye sada hazrate abbas abbas abbas...
|
|