khafila dashte bala se jo suye sham chala laashe abbas e alamdar pe zainab ne kaha abbas abbas chin gayi sar se rida koi baakhi na raha abbas tere jaane ke baad
taane deta hai mujhe dekh ke yun shimr e layeen teri awaaz pe abbas tera aata nahi bangayi farshe aza tere liye ab ye zameen sham jaana hi pada ye sitam mujhpe hua abbas tere jaane...
roke kulsoom teri yaad may karti hai buka teri haibat se kabhi soye nahi ahle jafa kaisi badli ye tere baad zamane ki hawa khush huwe ahle sitam so nahi paaye jo hum abbas tere jaane...
raah may aale payambar ka dilasa mai bani sham ke log tamashayi tamasha mai bani zakhm sadaat ne paaye to maseeha mai bani mai hi salaar bani mai alamdar bani abbas tere jaane...
haye darbar may aale nabi aa pahunchi aur sakina ko kaneezi may bulaata hai shaki kis se faryad karoo tu hi bata mere aqi aur kya hoga sitam kitne lachaar hai hum abbas tere jaane...
naam lekar jo sitamgar ne bulaya mujhko amma fizza ne pasay pusht chupaya mujhko yun bhi pardes may aada ne sataya mujhko aise aalam may bhala kisko mai deti sada abbas tere jaane...
hind zindan may aayi to ye kohraam utha meri barbadi ka jab hind ne ehwaal suna apna sar peet ke wo karne lagi wavaila dekh kaisa hai sitam qaid hai ahle haram abbas tere jaane...
tauq o zanjeer se sajjad jo azaad huwe qabr pe bali sakina ke gaye rote huwe rukh suwe karbobala kar ke yehi bain kiye seh nahi paayi sitam dukhtare shaahe umam abbas tere jaane...
sham se mazhar o farhan rehaai jo mili aaye maqtal may salami ke liye sab qaidi ghutniyo chalti hui bhai ke markhad pe gayi thay ye zainab ke sukhan margayi kyun na bahan abbas tere jaane...
.
|
|