maa keh rahi hai rakh kar zaanu pe khoon bhara sar aankhein to khol akbar aankhein to khol akbar
pehchan lo to jaano surat hai kya hamari aankhein to khol dekho haalat hai kya hamari maa keh rahi hai rakh kar zaanu pe khoon bhara sar aankhein to khol...
chehre ki har ladi to ashkon may dhal gayi hai mehendi ki thi jo hasrat wo khoon mal gayi hai maa keh rahi hai rakh kar zaanu pe khoon bhara sar aankhein to khol...
sarhane dekho sughra ka namawar khada hai dekho to gird beta sab ghar ka ghar khada hai maa keh rahi hai rakh kar zaanu pe khoon bhara sar aankhein to khol...
khursheed sa ye chehra sab khoon may bhar gaya hai dekho to maa ke dil may naiza utar gaya hai maa keh rahi hai rakh kar zaanu pe khoon bhara sar aankhein to khol...
lab par ye umme laila ke hai naved naala tum kya gaye gaya hai ghar se mere ujaala maa keh rahi hai rakh kar zaanu pe khoon bhara sar aankhein to khol...
|
|