madar ka ye noha tha aajao ali asghar aajao ali asghar aajao ali asghar choro na mujhe tanha aajao ali asghar aajao ali asghar....
surat teri ay asghar phirti hai nigahon may dikhlayi nahi deta in dard ki raahon may tadpao na yun beta aajao ali asghar aajao ali asghar....
wo phool sa chehra phir hoga kahan dunya may ab dhoondne jayegi ye maa kahan dunya may jangal may tum na sona aajao ali asghar aajao ali asghar....
thi pyas gawahi may baysheer ki aahon may ek dard ki dunya hai shabbir ki baahon may dil doobta hai mera aajao ali asghar aajao ali asghar....
bikhre pade hai laashe aaun kahan mai ran may dil khauf se darta hai karbobala ke ban may choro na mujhe tanha aajao ali asghar aajao ali asghar....
mai raaton may uth uth kar wo jhoola jhulati thi ro ro ke tumhay beta lori mai sunaati thi veeran hua jhoola aajao ali asghar aajao ali asghar....
behaal sakina hai dekho to zara aakar hai neel tamachon ke masooma ke gaalon par mar jayegi wo dukhiya aajao ali asghar aajao ali asghar....
ab khaak hai baalon may andher hai aankhon may dikhlayi nahi dete tum mujhko bhi khabon may dil mera larazta hai aajao ali asghar aajao ali asghar....
iqbal ban may saabir maa ye dua karti hai matam jo kar rahe hai unki hi zindagi hai bano ka tha ye noha aajao ali asghar aajao ali asghar....
|
|