damishk ka hai safar be-rida hai aale nabi na mehmile na kajawa hai na haudaj hai koi aseer sab thay magar ek hi rasan may bandhe gala sakina ka hai shane haram ke jakde huve rasan jo khichti hai karti hai sakina naale tehro aahista chalo aahista chalo phupi amma rassi se gala dukhta hai mera
hai amma gala is tarha jakda hai rasan may do gaam bhi chalne ki nahi jaan badan may khulwado rasan kardo ye ehsaan rassi se gala... aahista chalo...
kis shaan se nikli thi sawari mere ghar se ammu mujhe khud laaye thay mehmil may bitha ke ek ye hai safar haye phupi jaan rassi se gala... aahista chalo...
ye dekh ke rote hai mere baba sina par rone pe mujhe durre lagata hai sitamgar rote hai isi ran may chacha jaan rassi se gala... aahista chalo...
kya din hai mere naaz uthata nahi koi amma meri saanso ka bharosa nahi koi chehre se aziyat hai numayan rassi se gala... aahista chalo...
mai aapke zakhmo se bhi waaqif hoo phupi jaan kuch waade nibhane hai mujhe bar sare zindan bas kehti hoo mai ba haale pareshan rassi se gala... aahista chalo...
mar jayegi mar jayegi is raah may muztar dada ko sada deti hoo har gaam tadapkar ya shahe najaf sayyed e zeeshan rassi se gala... aahista chalo...
ay amma kaleje may ulajhne lagi saansein ab aur safar karne ki taaqat nahi mujh may ja paungi kya jaanibe zindan rassi se gala... aahista chalo...
ay mazhar o irfan sakina ki fughan par zainab ne kaha mai bhi tadap jaati hoo dukhtar jab kehti hai tu mujhse meri jaan rassi se gala... aahista chalo...
|
|