aagaye haram hoga arbaeen
gham ke paasban dard ke ameen aaye qaid se abide hazeen farshe khaak par hai falak nasheen aagaye haram hoga....
tauq bediyan aur reesma sar pe gir pada jaise aasman ghamzada falak roti hai zameen aagaye haram hoga....
dekhiye mera zakhmi hai gala nange paon mai kaaton par chala aisi bebasi hogi kya kahin aagaye haram hoga....
zindagi se ye maut hai bhali ay mere chacha sheh ki zindagi shaam may hai ab teri naazneen aagaye haram hoga....
dukhte hai mere sab ye us suqan kis-se mai karoon haale dil bayan keh rahe hai ye abide hazeen aagaye haram hoga....
akbare jawan mere bhai jaan saath tum nahi khaak hai jahan yaad karti hai zainabe hazeen aagaye haram hoga....
sar kata diya ghar luta diya deen ko magar tu bacha liya fatema ke laal waarise akheer aagaye haram hoga....
dafn jo hui dekho parde may nange sar kabhi thi jo balwe may uski betiyan dar badar phiri aagaye haram hoga....
karbala may ab dekho ek baar gham may doob kar hogaya ye haal sayyeda ke saath fakhre mursali aagaye haram hoga....
|
|